Tera HuSan Ho Mera IshQ Ho Phir To ApniH uSan-O-Ishaq Ki Baat Ho,
Kabhi Main MilOn Kabhi Tum Milo Kabhi Hum Milain To Apni MulaQat Ho,
Kabhi Tum Chup Kabhi Main Chup Kabhi Kabhar Dono Chup Chaap Ho,
Kabhi Ghuftugoo Kabhi TazKaray Koi Zikar Ho To Kabhi Koi Baat Ho,
Kabhi WiSal Ho Too Din Ko Ho Kabhi Hijaar Ho Too Wo Raat Ho,
Kabhi Ulfaatain, Kabhi Nafratain,KabhiJeet Ho Too Kabhi Maat Ho,
Kabhi Phool Ho To Kabhi Dhool Ho Kabhi Yaad Ho To Kabhi Bhool Ho,
Rahain Hum Muskuratay Pyaar Me Khil Jain Phool Ban K Baahar Me,
Na Zameen Koi Na FalaK Koi Naa WajooD Ho Or Na Hi Koi Zaat Ho,
"Srif Tera HuSan Ho Mera IshQ Ho Or Teri Zaat Me Meri Zaat Ho


Shikva teri yado se is tarah ki hamne..
Haste-haste sama ko rula diya hamne..
Ek lamha diya tune jine ke liye..
Or usme jindgi ki vita diya hamne...
Ek saffhe par likhe teri yad ki dastan ..
Dusra hissa khali hi jala diya hamne..
Kis bat ki saja dena chahte hei woh ..
Jis bat ko sunte hi bhula diya hamne ..
Wo kiyo nahi kar sakte wafa hamse ..
 Jiski wafa ki khatir har rista bhula diya hamne,.
 Aaj Bhi aik Tere Liye Dil Mein Chahatein Baqi H,
Tujh Se Joh Karni Thi Woh Adhuri Baatein Baqi H.
Tum Ne Kaise Soch Liya Ke Hume Teri Talab Nahi,
Dil Me Uttar Ke Dekh Ab Bhi Teri Haajatein Baqi H.
Kabhi Fursat Mile To  AaKe Dekh Mere Makan Me,
Aaj Bhi Teri Khushboo, Teri Parchai, Teri Aahatein Baqi H.
Dekh Mera Zarf Ke Main Toot Kar Bhi Bikhra Nahi!
Aankh Mein Hai Aansoo Magar Lab Pe Muskurahatein Baqi Hai....



Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhe Chahate The, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Zindagi Me To Kayi Hamsafar Mile
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehro Me Dusro Ke Tujhe Dhundtay Rahe
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili....

Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,

Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,

Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na wo sama , mera jee nahin lagta,

Hon pehchane huye chehre to jee ko aas rehti hai,
Hon chehre hijar ke anjaan, mera jee nahin lagta,

Yeh saara sheher ik dasht-e-hajoom be-niazi hai,
Yahan ka shor hai veeraan, mera jee nahin lagta,

Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Na hir’maan hai na woh darmaan, mera jee nahin lagta,

Kahin main hoon, kahin samaan, mera jee nahin lagta,

Mere hi sheher mein, mere mohahalley mein, mere ghar mein,
Bula lo tum mehmaan, mera jee nahin lagta

Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,

Koi paigam pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paigam, mera jee nahin lagta,

Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa, mera jee nahin lagta.



Ek ye hi arzu rhi dil me mudato se...
Koi hme bi chahe dil ki shidato se...
Bahut veeran si hai zindagi apni...
Ki koi awaz de hume aa kar mohabbaton se....
Nazar se nazar ko milao nazar ka aitbar karo...
Hum tum se h sanam, tum hum se pyaar karo...
Tum jo rutho to kuch bhi karke manaayege tumko...
Hum jo pal bhar ko bi jaye to tum intizaar karo......