Tera HuSan Ho Mera IshQ Ho Phir To ApniH uSan-O-Ishaq Ki Baat Ho,
Kabhi Main MilOn Kabhi Tum Milo Kabhi Hum Milain To Apni MulaQat Ho,
Kabhi Tum Chup Kabhi Main Chup Kabhi Kabhar Dono Chup Chaap Ho,
Kabhi Ghuftugoo Kabhi TazKaray Koi Zikar Ho To Kabhi Koi Baat Ho,
Kabhi WiSal Ho Too Din Ko Ho Kabhi Hijaar Ho Too Wo Raat Ho,
Kabhi Ulfaatain, Kabhi Nafratain,KabhiJeet Ho Too Kabhi Maat Ho,
Kabhi Phool Ho To Kabhi Dhool Ho Kabhi Yaad Ho To Kabhi Bhool Ho,
Rahain Hum Muskuratay Pyaar Me Khil Jain Phool Ban K Baahar Me,
Na Zameen Koi Na FalaK Koi Naa WajooD Ho Or Na Hi Koi Zaat Ho,
"Srif Tera HuSan Ho Mera IshQ Ho Or Teri Zaat Me Meri Zaat Ho


Shikva teri yado se is tarah ki hamne..
Haste-haste sama ko rula diya hamne..
Ek lamha diya tune jine ke liye..
Or usme jindgi ki vita diya hamne...
Ek saffhe par likhe teri yad ki dastan ..
Dusra hissa khali hi jala diya hamne..
Kis bat ki saja dena chahte hei woh ..
Jis bat ko sunte hi bhula diya hamne ..
Wo kiyo nahi kar sakte wafa hamse ..
 Jiski wafa ki khatir har rista bhula diya hamne,.
 Aaj Bhi aik Tere Liye Dil Mein Chahatein Baqi H,
Tujh Se Joh Karni Thi Woh Adhuri Baatein Baqi H.
Tum Ne Kaise Soch Liya Ke Hume Teri Talab Nahi,
Dil Me Uttar Ke Dekh Ab Bhi Teri Haajatein Baqi H.
Kabhi Fursat Mile To  AaKe Dekh Mere Makan Me,
Aaj Bhi Teri Khushboo, Teri Parchai, Teri Aahatein Baqi H.
Dekh Mera Zarf Ke Main Toot Kar Bhi Bikhra Nahi!
Aankh Mein Hai Aansoo Magar Lab Pe Muskurahatein Baqi Hai....



Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhe Chahate The, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Zindagi Me To Kayi Hamsafar Mile
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehro Me Dusro Ke Tujhe Dhundtay Rahe
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili....

Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,

Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,

Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na wo sama , mera jee nahin lagta,

Hon pehchane huye chehre to jee ko aas rehti hai,
Hon chehre hijar ke anjaan, mera jee nahin lagta,

Yeh saara sheher ik dasht-e-hajoom be-niazi hai,
Yahan ka shor hai veeraan, mera jee nahin lagta,

Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Na hir’maan hai na woh darmaan, mera jee nahin lagta,

Kahin main hoon, kahin samaan, mera jee nahin lagta,

Mere hi sheher mein, mere mohahalley mein, mere ghar mein,
Bula lo tum mehmaan, mera jee nahin lagta

Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,

Koi paigam pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paigam, mera jee nahin lagta,

Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa, mera jee nahin lagta.



Ek ye hi arzu rhi dil me mudato se...
Koi hme bi chahe dil ki shidato se...
Bahut veeran si hai zindagi apni...
Ki koi awaz de hume aa kar mohabbaton se....
Nazar se nazar ko milao nazar ka aitbar karo...
Hum tum se h sanam, tum hum se pyaar karo...
Tum jo rutho to kuch bhi karke manaayege tumko...
Hum jo pal bhar ko bi jaye to tum intizaar karo......
Jante hai sab fir b anjaan bante hai, isi tarah wo hume pareshan karte hai,
puchte hai humse ki apko kya pasand hai, khud hi jawaab hoke ye sawal karte hai.....


Kuch yadein,kuch lamhe bayaa kiye nahi jate,
wo yaadein,wo lamhe to rooh se mehsoos kiye jate hai,
hum kaun si yadoo ko, kaun se lamhoo ko bayaa kare,
hamare liye to har yaade,har lamhe rooh se dil me baas jate hai...
Special people are not needed to be talked daily..
sometimes 'their memories' & 'their sweetness' are worth more to feel their closeness.....:)
Pocha Karte Hain Log Yeh Aksar Ke Kon Hai Wo
Jiski Khatir Tum Dunya Se Juda Raha Karti Ho,
Aur Muskura Ke Main Yeh Kehti Hoon Ke Naam Uska
Yun Har Kisi Ke "Lab" Par Mujhe Acha Nahi Lagta....
Girl Asked: "Who Is Beautiful Me Or Moon ?
"Best Answer Given By Boy :- "I Dont Know But When I See You I Forget The Moon...
& When I See Moon I Remember You..........

Kisi k deedar mei tadapta hai yeh dil,
Kisi k intezar mei tarasta hai yeh dil,
Kya kamaal ka hai yeh dil,
Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil…

Taqdir likhne wale ek ehsan karde,
Mere dost ki taqdir mei ek aur muskan likhde,
Na mile kabi dard unko,
Tu chahe to uski kismet mei meri jaan likhde…


Mujhe ab neend ki talab nhi rahi,
Ab Raato ko jaagna acha
lagta ha…
Mujhe nhi maalum tum
meri kismat me ho ya nhi,
Magar khuda se tumhe
maangna acha lagta hai..
Jaane mujhe haq hai ya
nhi,
Par tumhari parvah
karna acha lagta hai…
Tumse pyar karna shi hai
ya nhi,
Par is ehsaas ko jeena
acha lagta hai….
Kabhi hum sath honge
bhi ya nhi,
Par ye khwab dekhna
acha lagta hai…
Tum mere ho ya nhi,
Par tumhe apna kehna acha lagta hai…
Dil ko behlaya bahut par
ye manta hi nhi,
Shayad ise bhi tumhare
liye Dhadkna acha lagta hai…

Find the boy who isn't afraid to
admit that he misses you,
who knows that you're not perfect
but treats you as if you are......