Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili....
Itna to mere haal par ehsan kiya
kar,
Ankhon se mera dard ko pehchan liya
kar
Kuch sath de safar mein bohat thak
gayi hon main
Kuch pal hu tere saath meri maan
liya kar
Afsaney Mohabbat k adhurey na
chhor tu
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan
liya kar
Muddat hui is AAS par thehri hui
hon mein
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam
liya kar
Kar apni zaat se wabasta tu mujhe
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya
kar....!!


Ik rishta banaaya inn aankhon ne
Mujhe dil tak pahuchaya inn aankhon ne
Main yaad karun unn sapno ko
Jine sach kar dikhaaya inn aankhon ne
Honth to ab tak hile na they
Haath haath se mile na they
Chupke se sab samjhaaya inn aankhon ne
Inn aankhon ka ab kya kehna

Bas inmey hai ab khoya rehna
Hamey jeena sikhaaya inn aankhon ne......
Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,
Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,
Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na wo Diwar hai , mera jee nahin lagta,
Hon Agr pehchane huye chehre to, jee ko aas rehti hai,
Hon hajar Chehre anjaan, mera jee nahin lagta,
Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,
Koi paigam pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paigam, mera jee nahin lagta,
Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa, mera jee nahin lagta.....

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili......
Tum ko hum dil me basa lenge tum aao to sahi
sari duniya se chupa lenge tum aao to sahi
ek wada karo ab hum se na bhichadoge kabhi
naz hum sare utha lenge tum aao to sahi
bevafa bhi ho sitamagar bhi
hum khuda tum ko bana lenge tum aao to sahi
yun to jis simt nazar uthati hai
pyar ke chirag jala lenge tum aao to sahi
ikhtafas bhi mit jayenge rafta rafta
jis tarah hoga nibha lenge tum aao to sahi
dil ke virani se ghabarake na muh ko modo
bazm ye phir se saja lenge tum aao to sahi
Mujhe khud se hain shikaaytain,
Mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya,
Nahin aesa kuch jo mila nahin,
Mere aas paas hai roshni,
Mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza,
Meri justuju ka silaa nahin,
Teri aankh se jo haseen ho,
Woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon,
Koi aesa phool khila nahin.....
Tere Lab Se yun Muskrana Acha Lagta Hai,
Bewajah Tera Yu Soch Me Aa Jana Acha Lagta Hai,
Baar Baar Nazrein churaana Acha Lagta Hai,
Tumhe Maloom Hai Mujhe Shikast K Naam Se Nafrat Hai,
Lakin Tum Se phir bhi haar jana acha lagta hai,
main tumhe baar baar tang isliye karti hun,
Tum rooth jao to mujhe manana acha lagta hai..??
Sadiyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karogey Tum??
Bhool Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Nahi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bas Mere Hojao Tum,
Kabhi Na Chor K Jaogey,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Faqat Ik Lafz Sunney Ko,
Kaey Barson Se Tarsa Hun,
Mujhey Apna Bana Lo Tum,
Kaho Aisa Karogey Tum???
Zamana dost ho jaye to tum mohtaj na ho jana
Kisi k rang badalnay me zara si der lagti hay

Koi jo khwab dekho to usay foran bhula dena
Ke neendey toot jane me zara si der lagti hay

Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker dena
Kisi ki aah lagnay me zara si der lagti hay

Bahut hi moutabar hai jin ko muhabat raas aa jaye
Ise raah badalnay me zara si der lagti hay
Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krtey Ho To Chura LoMjh Ko
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko
Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo MjhKo
Tere Dukh Ko Seh Legey Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko
Sahil Se Pehle Chor To Na Dogey
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko
Zindgi B Tere Nam Kr Degey
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko

Kbhi na kbhi toh ayega vo
Dekhte hi mujhe mera jaega vo
Jaha bhi hoga use dhoond legi ye najare
Aur fir mera ho jayega vo
Uski baato me fikar hogi mere liye
Mere bina ek pal b na reh payega vo
Khushiya de dungi use jmaane bhar ki itni
Ki khush hoke gale se mere lag jayega vo
Mene har waqt use paane ki tamanna ki hai
 Mujhe yakin he mera ho jaega vo
Shayad vo shaamil ho isi mehfil me kahi
Na bhi ho to kbhi na kbhi toh aaega vo
Mujhe dekhte hi mera ho jaega vo

Kuch kami hai meri jindgi me tere bagher
Kuch bhi nahi hai is duniya me tere bagher
Ye Waqt apni raftar se chal raha hai mager
Meri ye dhadkan thami si hai Mager tere bagher
Na barish hai na dhuan hai phir bhi lagta hai
Mere Is Dil mein tapish si hai tere bagher
Mene Bahot roka in badalo ko barasne se
Phir bhi in aankhon mein nami si hai tere bagher
Tu laut aa ye dil bar bar keh raha hai
Is dil ki suni hai tere bagher.....


I might have erassed ur text.
But i will never forget what u wrote....

I may never see u again.
But i will never forget ur picture...

We might have stopped talking.
But i will never forget ur voice...


We might have ignorred each other.
But i will never forget ur face...


I will never forget our Love.
I will never forget You.
I will always Love you....


Taron ke pehre tale khili hai chandni,
Ye raat kitni haseen hai!

Zubaan ko aaj rakho khamosh,
Mujhe aankhon ki guftgu mein yakeen hai.

Chaand ko ho chala hai guroor khud par,
Tu kyun ab tak parda nasheen hai

Ye mulakaat yadgar rahegi,
Gawah ye aasman-o-zameen hai.

Is munh se kya tareef karoon teri,
Sari kainaat tere sajde mein humnasheen hai,
 
Mere dil me utar sako to shayad itna jaan lo,
Ye Khamosh mohabbat kitni dilnasheen hai.....