Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,
Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,
Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na wo Diwar hai , mera jee nahin lagta,
Hon Agr pehchane huye chehre to, jee ko aas rehti hai,
Hon hajar Chehre anjaan, mera jee nahin lagta,
Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,
Koi paigam pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paigam, mera jee nahin lagta,
Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa, mera jee nahin lagta.....