Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili....
Itna to mere haal par ehsan kiya
kar,
Ankhon se mera dard ko pehchan liya
kar
Kuch sath de safar mein bohat thak
gayi hon main
Kuch pal hu tere saath meri maan
liya kar
Afsaney Mohabbat k adhurey na
chhor tu
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan
liya kar
Muddat hui is AAS par thehri hui
hon mein
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam
liya kar
Kar apni zaat se wabasta tu mujhe
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya
kar....!!


Ik rishta banaaya inn aankhon ne
Mujhe dil tak pahuchaya inn aankhon ne
Main yaad karun unn sapno ko
Jine sach kar dikhaaya inn aankhon ne
Honth to ab tak hile na they
Haath haath se mile na they
Chupke se sab samjhaaya inn aankhon ne
Inn aankhon ka ab kya kehna

Bas inmey hai ab khoya rehna
Hamey jeena sikhaaya inn aankhon ne......
Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,
Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,
Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na wo Diwar hai , mera jee nahin lagta,
Hon Agr pehchane huye chehre to, jee ko aas rehti hai,
Hon hajar Chehre anjaan, mera jee nahin lagta,
Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,
Koi paigam pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paigam, mera jee nahin lagta,
Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa, mera jee nahin lagta.....

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili......